KHushbu udas raat ki dil mein utar gai
ḳhushbū udaas raat kī dil meñ utar ga.ī
bahkī havā to phuul kā har jaam bhar ga.ī
saḌkoñ pe izhdihām ke sāñche chamak uThe
bijlī kī raushnī bhī baḌā kaam kar ga.ī
jhāñkā kare hai aañkh ke rauzan se baar baar
ik sūrat-e-ḳhayāl jo dil meñ utar ga.ī
ham sochte haiñ aaj bhī umreñ guzār kar
bachpan kī kheltī huī duniyā kidhar ga.ī
KHushbu udas raat ki dil mein utar gai
bahki hawa to phul ka har jam bhar gai
saDkon pe izhdiham ke sanche chamak uThe
bijli ki raushni bhi baDa kaam kar gai
jhanka kare hai aankh ke rauzan se bar bar
ek surat-e-KHayal jo dil mein utar gai
hum sochte hain aaj bhi umren guzar kar
bachpan ki khelti hui duniya kidhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.