Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi ban kar hansi ban kar dua ban kar mahakta hai

Divya Bhasin Kochar

KHushi ban kar hansi ban kar dua ban kar mahakta hai

Divya Bhasin Kochar

MORE BYDivya Bhasin Kochar

    ḳhushī ban kar hañsī ban kar du'ā ban kar mahaktā hai

    ghule ḳhushbū buzurgoñ jahāñ vo ghar mahaktā hai

    mire aane jab pahuñche ḳhabar sun kar mahaktā hai

    mire aate pīhar har ik patthar mahaktā hai

    sabhī dhyān bar-bas khīñch letā hai kahānī meñ

    mirā kirdār adnā hai par aksar mahaktā hai

    mire lahje meñ ab ghulne lagī haiñ ḳhushbueñ terī

    sabhī kahte haiñ mujh meñ ab mirā dilbar mahaktā hai

    mujhe thī mirī maañ ne jo ik tahzīb chūnar

    maiñ jab bhī oḌh kar niklūñ to merā sar mahaktā hai

    mujhe chhū kar gayā hai jab se terī yaad jhoñkā

    khilā gulshan koī 'divyā' mire andar mahaktā hai

    KHushi ban kar hansi ban kar du'a ban kar mahakta hai

    ghule KHushbu buzurgon ki jahan wo ghar mahakta hai

    mere aane ki jab pahunche KHabar sun kar mahakta hai

    mere aate hi pihar ka har ek patthar mahakta hai

    sabhi ka dhyan bar-bas khinch leta hai kahani mein

    mera kirdar adna sa hai par aksar mahakta hai

    mere lahje mein ab ghulne lagi hain KHushbuen teri

    sabhi kahte hain mujh mein ab mera dilbar mahakta hai

    mujhe di thi meri man ne jo ek tahzib ki chunar

    main jab bhi oDh kar niklun to mera sar mahakta hai

    mujhe chhu kar gaya hai jab se teri yaad ka jhonka

    khila gulshan koi 'diwya' mere andar mahakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now