KHushi hai na gham hai
ḳhushī hai na ġham hai
ye kaisā sitam hai
bharam hī bharam hai
kise kis kā ġham hai
abhī dam meñ dam hai
ḳhudā kā karam hai
vafā hai jahāñ meñ
magar kal-adam hai
digar-gūñ zamāna
nigūñ jām-e-jam hai
karam aur mujh par
sitamgar sitam hai
hai jis sar meñ saudā
vo ḳham thā na ḳham hai
ḳhudā phir ḳhudā hai
sanam phir sanam hai
har aañsū sharāra
ḳhudā kī qasam hai
hue ghar se be-ghar
ye īsār kam hai
paḌho 'sāz' is ko
jo dil par raqam hai
KHushi hai na gham hai
ye kaisa sitam hai
bharam hi bharam hai
kise kis ka gham hai
abhi dam mein dam hai
KHuda ka karam hai
wafa hai jahan mein
magar kal-adam hai
digar-gun zamana
nigun jam-e-jam hai
karam aur mujh par
sitamgar sitam hai
hai jis sar mein sauda
wo KHam tha na KHam hai
KHuda phir KHuda hai
sanam phir sanam hai
har aansu sharara
KHuda ki qasam hai
hue ghar se be-ghar
ye isar kam hai
paDho 'saz' is ko
jo dil par raqam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.