Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi hai sab ko ki operation mein KHub nishtar ye chal raha hai

Akbar Allahabadi

KHushi hai sab ko ki operation mein KHub nishtar ye chal raha hai

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    ḳhushī hai sab ko ki operation meñ ḳhuub nishtar ye chal rahā hai

    kisī ko is ḳhabar nahīñ hai marīz dam nikal rahā hai

    fanā isī rañg par hai qaa.im falak vahī chaal chal rahā hai

    shikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sāñche meñ Dhal rahā hai

    ye dekhte ho jo kāsa-e-sar ġhurūr-e-ġhaflat se kal thā mamlū

    yahī badan naaz se palā thā jo aaj miTTī meñ gal rahā hai

    samajh ho jis balīġh samjhe nazar ho jis vasī.a dekhe

    abhī yahāñ ḳhaak bhī uḌegī jahāñ ye qulzum ubal rahā hai

    kahāñ sharqī kahāñ ġharbī tamām dukh sukh hai ye masāvī

    yahāñ bhī ik bā-murād ḳhush hai vahāñ bhī ik ġham se jal rahā hai

    urūj-e-qaumī zavāl-e-qaumī ḳhudā qudrat ke haiñ karishme

    hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political rahā hai

    maza hai spēch dinner meñ ḳhabar ye chhaptī hai pionēr meñ

    falak gardish ke saath saath kaam yāroñ chal rahā hai

    KHushi hai sab ko ki operation mein KHub nishtar ye chal raha hai

    kisi ko is ki KHabar nahin hai mariz ka dam nikal raha hai

    fana isi rang par hai qaim falak wahi chaal chal raha hai

    shikasta o muntashir hai wo kal jo aaj sanche mein Dhal raha hai

    ye dekhte ho jo kasa-e-sar ghurur-e-ghaflat se kal tha mamlu

    yahi badan naz se pala tha jo aaj miTTi mein gal raha hai

    samajh ho jis ki baligh samjhe nazar ho jis ki wasia dekhe

    abhi yahan KHak bhi uDegi jahan ye qulzum ubal raha hai

    kahan ka sharqi kahan ka gharbi tamam dukh sukh hai ye masawi

    yahan bhi ek ba-murad KHush hai wahan bhi ek gham se jal raha hai

    uruj-e-qaumi zawal-e-qaumi KHuda ki qudrat ke hain karishme

    hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political raha hai

    maza hai speech ka dinner mein KHabar ye chhapti hai pioneer mein

    falak ki gardish ke sath hi sath kaam yaron ka chal raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now