aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi jo saya-e-gham mein rahe phir wo KHushi kyon ho

Sahil Ajmeri

KHushi jo saya-e-gham mein rahe phir wo KHushi kyon ho

Sahil Ajmeri

MORE BYSahil Ajmeri

    ḳhushī jo sāya-e-ġham meñ rahe phir vo ḳhushī kyoñ ho

    grahan jo chāñd ko lag jaa.e to phir chāñdnī kyoñ ho

    adā-e-husn-e-dil-kash ko zarā samjhe to ye duniyā

    tavajjoh is meñ pinhāñ hai ye un be-ruḳhī kyoñ ho

    ise kuchh aur kahiye ki dil dukhtā hai ye sun kar

    jab is meñ maut shāmil hai to phir ye zindagī kyoñ ho

    agar miliye kisī se aap to dil khol kar miliye

    ḳhulūs-e-dil jab na ho to phir mil kar ḳhushī kyoñ ho

    ḳhushī ke vaqt meñ kyoñ ḳhaas sadme yaad aate haiñ

    ki hoñToñ pe hañsī ke saath āñkhoñ meñ namī kyoñ ho

    agar lālach se jannat ke jahannum ye dahshat se

    kiye jo umr bhar sajde bhī to ye bandagī kyoñ ho

    jahāñ meñ aur bhī ik ajnabī baḌh jaa.e to kyā hai

    na ho paa.e kisī se dostī to dushmanī kyoñ ho

    tamannā ḳhaas dil un se is Dar se nahīñ kahte

    ki āġhāz-e-mohabbat meñ un se dushmanī kyoñ ho

    hameñ piine hasrat nahīñ baaqī hai ab 'sāhil'

    bujhā āñso.oñ ne pyaas to phir tishnagī kyoñ ho

    KHushi jo saya-e-gham mein rahe phir wo KHushi kyon ho

    grahan jo chand ko lag jae to phir chandni kyon ho

    ada-e-husn-e-dil-kash ko zara samjhe to ye duniya

    tawajjoh is mein pinhan hai ye un ki be-ruKHi kyon ho

    ise kuchh aur hi kahiye ki dil dukhta hai ye sun kar

    jab is mein maut shamil hai to phir ye zindagi kyon ho

    agar miliye kisi se aap to dil khol kar miliye

    KHulus-e-dil hi jab na ho to phir mil kar KHushi kyon ho

    KHushi ke waqt mein kyon KHas sadme yaad aate hain

    ki honTon pe hansi ke sath aankhon mein nami kyon ho

    agar lalach se jannat ke jahannum ki ye dahshat se

    kiye jo umr bhar sajde bhi to ye bandagi kyon ho

    jahan mein aur bhi ek ajnabi baDh jae to kya hai

    na ho pae kisi se dosti to dushmani kyon ho

    tamanna KHas dil ki un se is Dar se nahin kahte

    ki aaghaz-e-mohabbat hi mein un se dushmani kyon ho

    hamein pine ki hasrat hi nahin baqi hai ab 'sahil'

    bujha di aansoon ne pyas to phir tishnagi kyon ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now