Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi ke mauqe par unki kami achchhi nahin lagti

Akbar Sharid

KHushi ke mauqe par unki kami achchhi nahin lagti

Akbar Sharid

MORE BYAkbar Sharid

    ḳhushī ke mauqe par un kamī achchhī nahīñ lagtī

    azīzoñ ke binā koī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī

    adāvat dushmanī nafrat hasad insāñ fitrat hai

    magar shiddat kisī bhī baat achchhī nahīñ lagtī

    kisī ke vāste jab bad-gumānī dil meñ aa jaa.e

    to achchhī baat bhī us kabhī achchhī nahīñ lagtī

    salīmuttaba fitrat hai qudrat ne jinheñ un ko

    kisī bebas āñkhoñ meñ namī achchhī nahīñ lagtī

    ye kaisā daur-e-be-kaifī hai 'shārid' zindagānī

    ki tyauhāroñ pe bhī ab raushnī achchhī nahīñ lagtī

    KHushi ke mauqe par un ki kami achchhi nahin lagti

    azizon ke bina koi KHushi achchhi nahin lagti

    adawat dushmani nafrat hasad insan ki fitrat hai

    magar shiddat kisi bhi baat ki achchhi nahin lagti

    kisi ke waste jab bad-gumani dil mein aa jae

    to achchhi baat bhi us ki kabhi achchhi nahin lagti

    salimuttaba fitrat di hai qudrat ne jinhen un ko

    kisi bebas ki aankhon mein nami achchhi nahin lagti

    ye kaisa daur-e-be-kaifi hai 'shaarid' zindagani ka

    ki tyauhaaron pe bhi ab raushni achchhi nahin lagti

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 238)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now