aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi ki aarzu ko pa ke mahrum-e-KHushi maine

Waqar Manvi

KHushi ki aarzu ko pa ke mahrum-e-KHushi maine

Waqar Manvi

MORE BYWaqar Manvi

    ḳhushī aarzū ko ke mahrūm-e-ḳhushī maiñ ne

    ḳhushī aarzū dil meñ kabhī palne na maiñ ne

    vatan sar-zamīñ jis par luTā zindagī maiñ ne

    vahīñ apne liye paa.ī mohabbat kamī maiñ ne

    jo merī jaan ke dushman the un par jaan maiñ ne

    sikhā.ī yuuñ bhī apne dushmanoñ ko dostī maiñ ne

    siyāsat se fasādoñ banā maskan vatan merā

    jahāñ sadiyoñ diyā paiġhām-e-sulh-o-āshtī maiñ ne

    gul-afshāñ jo zamīñ thī vo zamīñ ab aag ugaltī hai

    ajab ta.abīr dekhī hurriyat ke ḳhvāb maiñ ne

    sahar kaisī sahar zikr bhī ik jurm Thahrā hai

    añdherī raat dekhā hai ye andher bhī maiñ ne

    vahāñ mujh ko mohazzab bhī na maanā jaa.e hairat se

    jahāñ tahzīb buniyād rakkhī thī kabhī maiñ ne

    ye taufīq apnī apnī apnā apnā zarf hai pyāre

    musalsal ne bedād paiham daad maiñ ne

    shikasta-pā.ī se maiñ apnī pīchhe rah gayā be-shak

    magar tezī-e-raftār-e-jahāñ to jaan maiñ ne

    ye ab tujh par hai to qadmoñ meñ rahne de ki Thukrā de

    tire qadmoñ meñ rakh apne dil har ḳhushī maiñ ne

    yaqīnan vaj.h-e-baḳhshish nāz-e-umr-e-bandagī hotā

    kiyā hotā agar shāyān-e-dar ik sajda bhī maiñ ne

    yahī kuchh kam nahīñ kam āgahī ke is zamāne meñ

    jahān-e-sher ko baḳhshā 'vaqār'-e-āgahī maiñ ne

    KHushi ki aarzu ko pa ke mahrum-e-KHushi main ne

    KHushi ki aarzu dil mein kabhi palne na di main ne

    watan ki sar-zamin jis par luTa di zindagi main ne

    wahin apne liye pai mohabbat ki kami main ne

    jo meri jaan ke dushman the un par jaan di main ne

    sikhai yun bhi apne dushmanon ko dosti main ne

    siyasat se fasadon ka bana maskan watan mera

    jahan sadiyon diya paigham-e-sulh-o-ashti main ne

    gul-afshan jo zamin thi wo zamin ab aag ugalti hai

    ajab tabir dekhi hurriyat ke KHwab ki main ne

    sahar kaisi sahar ka zikr bhi ek jurm Thahra hai

    andheri raat ka dekha hai ye andher bhi main ne

    wahan mujh ko mohazzab bhi na mana jae hairat se

    jahan tahzib ki buniyaad rakkhi thi kabhi main ne

    ye taufiq apni apni apna apna zarf hai pyare

    musalsal tu ne ki bedad paiham dad di main ne

    shikasta-pai se main apni pichhe rah gaya be-shak

    magar tezi-e-raftar-e-jahan to jaan li main ne

    ye ab tujh par hai to qadmon mein rahne de ki Thukra de

    tere qadmon mein rakh di apne dil ki har KHushi main ne

    yaqinan wajh-e-baKHshish naz-e-umr-e-bandagi hota

    kiya hota agar shayan-e-dar ek sajda bhi main ne

    yahi kuchh kam nahin kam aagahi ke is zamane mein

    jahan-e-sher ko baKHsha 'waqar'-e-agahi main ne

    Source:

    Waqar-e-Hunar (Pg. 84)

    • Author: Mohammad Zahiir
      • Edition: 1998
      • Publisher: Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now