KHushk honTon pe kuchh nami rakh do
ḳhushk hoñToñ pe kuchh namī rakh do
taaq par phuul bhī koī rakh do
naag ban kar na raushnī Das le
mere kamre meñ tīrgī rakh do
raat tārīk raah nā-mā'lūm
apnī yādoñ kī raushnī rakh do
jab bhī TuuTe ta'alluqāt kī Dor
apnī bātoñ kī sādgī rakh do
shahr se kal vo aane vaalā hai
us kī ḳhātir bhī chāñdnī rakh do
jitne ġham haiñ sameT lo 'firdaus'
aur us ke liye ḳhushī rakh do
KHushk honTon pe kuchh nami rakh do
taq par phul bhi koi rakh do
nag ban kar na raushni Das le
mere kamre mein tirgi rakh do
raat tarik rah na-ma'lum
apni yaadon ki raushni rakh do
jab bhi TuTe ta'alluqat ki Dor
apni baaton ki sadgi rakh do
shahr se kal wo aane wala hai
us ki KHatir bhi chandni rakh do
jitne gham hain sameT lo 'firdaus'
aur us ke liye KHushi rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.