Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum

Meer Naqi Ali Khan Saqib

KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum

Meer Naqi Ali Khan Saqib

MORE BYMeer Naqi Ali Khan Saqib

    ḳhushk pattoñ tarah shāḳhoñ se gir jaate haiñ ham

    vaqt gard-e-safar ban ke aḌe jaate haiñ ham

    jaise sadiyoñ siyah-poshī muqaddar ban ga.ī

    raushnī naam aate pighal jaate haiñ ham

    is qadar raushan nahīñ thī aaj se pahle ġhazal

    bhīgte lafzoñ ko sho.aloñ zabāñ dete haiñ ham

    subah hotī hai to jaise ik haqīqat jaan kar

    gum-shuda ḳhvāboñ ta.abīroñ ko apnāte haiñ ham

    ye ghane lamhāt ye mauhūm āvāzoñ shor

    DhūñD le ai sham-e-tanhā.ī ki kho jaate haiñ ham

    jis tarah ik tifl-e-ḳhvābīda ho un āñkhoñ yaad

    chauñk kar ḳhvāboñ se ik pal ko sambhal jaate haiñ ham

    zindagī ko ahd-e-māzī rivāyat jaan kar

    saf.ha-e-daurāñ se tahrīreñ miTā dete haiñ ham

    KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum

    waqt ki gard-e-safar ban ke aDe jate hain hum

    jaise sadiyon ki siyah-poshi muqaddar ban gai

    raushni ka nam aate hi pighal jate hain hum

    is qadar raushan nahin thi aaj se pahle ghazal

    bhigte lafzon ko shoalon ki zaban dete hain hum

    subah hoti hai to jaise ek haqiqat jaan kar

    gum-shuda KHwabon ki tabiron ko apnate hain hum

    ye ghane lamhat ye mauhum aawazon ka shor

    DhunD le ai sham-e-tanhai ki kho jate hain hum

    jis tarah ek tifl-e-KHwabida ho un aankhon ki yaad

    chaunk kar KHwabon se ek pal ko sambhal jate hain hum

    zindagi ko ahd-e-mazi ki riwayat jaan kar

    safha-e-dauran se tahriren miTa dete hain hum

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 522)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now