Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHub hai ishwa ye us ka ye ishaarat uski

Mohammad Ahmad Ramz

KHub hai ishwa ye us ka ye ishaarat uski

Mohammad Ahmad Ramz

MORE BYMohammad Ahmad Ramz

    ḳhuub hai ishva ye us ye ishārat us

    mere hāthoñ lakīreñ haiñ ibārat us

    vasl raat ke ik āḳhirī motī tarah

    ḳhvāb bantī huī āñkhoñ meñ bashārat us

    us ke dāman pe nahīñ paḌte lahū ke dhabbe

    teġh uThā.e vo to phir dekho mahārat us

    ḳhaam ashiyā tarah bikhrā paḌā hai sar-e-rāh

    zer-e-ta.amīr tamāshā hai imārat us

    nā-shanāsī ke ḳharābe meñ safar hai us

    zinda rahne tamannā hai jasārat us

    daaġh tashkīk ke dho detī hai peshānī se

    mo.ajaza bantī hai jab 'ramz' tahārat us

    KHub hai ishwa ye us ka ye ishaarat us ki

    mere hathon ki lakiren hain ibarat us ki

    wasl ki raat ke ek aaKHiri moti ki tarah

    KHwab banti hui aankhon mein bashaarat us ki

    us ke daman pe nahin paDte lahu ke dhabbe

    tegh uThae wo to phir dekho mahaarat us ki

    KHam ashiya ki tarah bikhra paDa hai sar-e-rah

    zer-e-tamir tamasha hai imarat us ki

    na-shanasi ke KHarabe mein safar hai us ka

    zinda rahne ki tamanna hai jasarat us ki

    dagh tashkik ke dho deti hai peshani se

    moajaza banti hai jab 'ramz' tahaarat us ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now