KHub-surat ye KHwab achchhe hain
ḳhūb-sūrat ye ḳhvāb achchhe haiñ
niiñd meñ aap ke hī charche haiñ
ham to jaise the Thiik haiñ vaise
aur sarkār aap kaise haiñ
kyā huā aap ko achānak se
aaj itne jo rūThe rūThe haiñ
dil dhaḌaktā hai ye musalsal kyoñ
kyūñki dhaḌkan meñ aap rahte haiñ
pūchh kar kaun dil dukhātā hai
hādse kab batā ke hote haiñ
ab unhīñ se hamārī bantī hai
jo hamārī tarah se TuuTe haiñ
ḳhvāb haiñ 'dāġh' dehlavī vaale
haal 'sarvat-husain’ jaise haiñ
KHub-surat ye KHwab achchhe hain
nind mein aap ke hi charche hain
hum to jaise the Thik hain waise
aur sarkar aap kaise hain
kya hua aap ko achanak se
aaj itne jo ruThe ruThe hain
dil dhaDakta hai ye musalsal kyon
kyunki dhaDkan mein aap rahte hain
puchh kar kaun dil dukhata hai
hadse kab bata ke hote hain
ab unhin se hamari banti hai
jo hamari tarah se TuTe hain
KHwab hain 'dagh' dehlawi wale
haal 'sarwat-husain’ jaise hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.