Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHubi ka teri bas-ki ek aalam gawah hai

Mirza Ali Lutf

KHubi ka teri bas-ki ek aalam gawah hai

Mirza Ali Lutf

MORE BYMirza Ali Lutf

    ḳhūbī terī bas-ki ik aalam gavāh hai

    apnī baġhair dekhe hālat tabāh hai

    aalam sunā jo naaz hai us se al-amāñ

    andāz-e-guftugū se ḳhudā panāh hai

    tevrī ke Dhab haiñ aur nigah ke hazār Dol

    chitvan ke laakh rañg ġharaz vaah vaah hai

    nāḳhun ye dil hilāl hai abrū ke rashk se

    mukhḌe daaġh rakhtā kaleje pe maah hai

    ḳhūñ-rez terī chashm ko batlāte haiñ vale

    chitvan meñ saath kahte haiñ phir uzr-ḳhvāh hai

    ḳhūbī tere bāloñ mazkūr hai jahāñ

    sumbul naam is jagah ik rū-siyāh hai

    detā hai terī qāmat-e-dil-jū jo patā

    be-sāḳhta vo khīñchtā ik dil se aah hai

    go 'lutf'-e-ḳhufta-baḳht ke aao na ḳhvāb meñ

    lekin tire ḳhayāl ko nit dil meñ raah hai

    KHubi ka teri bas-ki ek aalam gawah hai

    apni baghair dekhe hi haalat tabah hai

    aalam suna jo naz ka hai us se al-aman

    andaz-e-guftugu se KHuda ki panah hai

    tewri ke Dhab hain aur nigah ke hazar Dol

    chitwan ke lakh rang gharaz wah wah hai

    naKHun ye dil hilal hai abru ke rashk se

    mukhDe ka dagh rakhta kaleje pe mah hai

    KHun-rez teri chashm ko batlate hain wale

    chitwan mein sath kahte hain phir uzr-KHwah hai

    KHubi ka tere baalon ki mazkur hai jahan

    sumbul ka nam is jagah ek ru-siyah hai

    deta hai teri qamat-e-dil-ju ka jo pata

    be-saKHta wo khinchta ek dil se aah hai

    go 'lutf'-e-KHufta-baKHt ke aao na KHwab mein

    lekin tere KHayal ko nit dil mein rah hai

    Source:

    Dewan-e-Lutf (Pg. 94)

    • Author: Mirza Ali Lutf
      • Edition: 1983
      • Publisher: Idara Sher-o-Hikmat, Hyderabad
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now