Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHugar-e-ru-e-KHush-jamal hain hum

Ali Sardar Jafri

KHugar-e-ru-e-KHush-jamal hain hum

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    ḳhūgar-e-ru-e-ḳhush-jamāl haiñ ham

    nāz-e-parvarda-e-visāl haiñ ham

    ham ko yuuñ rā.egāñ na kar denā

    hāsil-e-fasl-e-māh-o-sāl haiñ ham

    rañg rañg ḳhushbū ḳhushbū

    gardish-e-sāġhar-e-ḳhayāl haiñ ham

    raunaq-e-kārobār-e-hastī haiñ

    ham ne maanā shikasta-hāl haiñ ham

    māl-o-zar, māl-o-zar qīmat kyā

    sāhab-e-daulat-e-kamāl haiñ ham

    kis rānā.i-e-ḳhayāl hai

    terī rānā.i-e-jamāl haiñ ham

    aise dīvāne phir na ā.eñge

    dekh lo ham ko be-misāl haiñ ham

    daulat-e-husn-e-lā-zavāl hai

    daulat-e-ishq-e-lā-zavāl haiñ ham

    KHugar-e-ru-e-KHush-jamal hain hum

    naz-e-parwarda-e-visal hain hum

    hum ko yun raegan na kar dena

    hasil-e-fasl-e-mah-o-sal hain hum

    rang hi rang KHushbu hi KHushbu

    gardish-e-saghar-e-KHayal hain hum

    raunaq-e-karobar-e-hasti hain

    hum ne mana shikasta-haal hain hum

    mal-o-zar, mal-o-zar ki qimat kya

    sahab-e-daulat-e-kamal hain hum

    kis ki ranai-e-KHayal hai tu

    teri ranai-e-jamal hain hum

    aise diwane phir na aaenge

    dekh lo hum ko be-misal hain hum

    daulat-e-husn-e-la-zawal hai tu

    daulat-e-ishq-e-la-zawal hain hum

    Source:

    Ek Khvaab Aur (Pg. 163)

    • Author: Ali Sardar Jafri
      • Publisher: Halqa-e-Adab, Mumbai
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now