KHun-e-dil hota hai hone dijiye
ḳhūn-e-dil hotā hai hone dījiye
ab rulāyā hai to rone dījiye
kuchh to halkā dil ko hone dījiye
jī bharā aatā hai rone dījiye
aah dil se lab tak aa saktī nahīñ
dard hotā hai to hone dījiye
aap ko apnā banāne meñ hai aar
phir mujhe merā hī hone dījiye
kījiye kyuuñ murda armānoñ se chheḌ
sone vāloñ ko to sone dījiye
aap hañsiye aap kyuuñ lījiye asar
koī rotā hai to rone dījiye
nāla-kash 'manzar' se da.ave niiñd ke
achchhā achchhā shaam hone dījiye
KHun-e-dil hota hai hone dijiye
ab rulaya hai to rone dijiye
kuchh to halka dil ko hone dijiye
ji bhara aata hai rone dijiye
aah dil se lab tak aa sakti nahin
dard hota hai to hone dijiye
aap ko apna banane mein hai aar
phir mujhe mera hi hone dijiye
kijiye kyun murda armanon se chheD
sone walon ko to sone dijiye
aap hansiye aap kyun lijiye asar
koi rota hai to rone dijiye
nala-kash 'manzar' se dawe nind ke
achchha achchha sham hone dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.