Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai

Natiq Lakhnavi

KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    ḳhūn-e-dil jo kuchh ashkoñ se patā miltā hai

    ham ko khol ke rone mazā miltā hai

    ham se is ishq-e-majāzī haqīqat pūchho

    ke ye but jab nahīñ milte to ḳhudā miltā hai

    shauq se kar mujhe pāmāl magar ye to batā

    ḳhaak meñ milne se mere tujhe kyā miltā hai

    aaj tak ham ko to vo but na milā par na milā

    kahte haiñ DhūñDne vaale ko ḳhudā miltā hai

    kund ḳhanjar shikāyat maiñ karūñ kyuuñ 'nātiq'

    sach to ye hai ke mujhe yuuñ mazā miltā hai

    KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai

    hum ko ji khol ke rone ka maza milta hai

    hum se is ishq-e-majazi ki haqiqat puchho

    ke ye but jab nahin milte to KHuda milta hai

    shauq se kar mujhe pamal magar ye to bata

    KHak mein milne se mere tujhe kya milta hai

    aaj tak hum ko to wo but na mila par na mila

    kahte hain DhunDne wale ko KHuda milta hai

    kund KHanjar ki shikayat main karun kyun 'natiq'

    sach to ye hai ke mujhe yun hi maza milta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now