Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun-e-dil mujhse tera rang-e-hina mange hai

Ghayas Anjum

KHun-e-dil mujhse tera rang-e-hina mange hai

Ghayas Anjum

MORE BYGhayas Anjum

    ḳhūn-e-dil mujh se tirā rañg-e-hinā māñge hai

    hathelī pe koī naqsh-e-vafā māñge hai

    jo sadā detā rahā dār-o-rasan tohfe meñ

    ham faqīroñ se vahī harf-e-duā māñge hai

    kyā huā hai ki rifāqat bharam rakhne ko

    mujh se mahbūb mirā zaḳhm nayā māñge hai

    shahr meñ dhañstā hai fitne na.ī daldal meñ

    kyā qayāmat hai ki merā pata māñge hai

    kuchh samajh meñ nahīñ aatā hai mizāj-e-yārāñ

    jis ko dekho vahī iz.hār-e-vafā māñge hai

    vo to vahshat meñ kabhī samjhe hai mujh ko qātil

    aur kabhī kūcha-e-qātil patā māñge hai

    aql par parda paḌā hai ki suḳhnavar 'anjum'

    din ke māhaul meñ bhī kaalī ridā māñge hai

    KHun-e-dil mujh se tera rang-e-hina mange hai

    ya hatheli pe koi naqsh-e-wafa mange hai

    jo sada deta raha dar-o-rasan tohfe mein

    hum faqiron se wahi harf-e-dua mange hai

    kya hua hai ki rifaqat ka bharam rakhne ko

    mujh se mahbub mera zaKHm naya mange hai

    shahr mein dhansta hai fitne ki nai daldal mein

    kya qayamat hai ki mera hi pata mange hai

    kuchh samajh mein nahin aata hai mizaj-e-yaran

    jis ko dekho wahi izhaar-e-wafa mange hai

    wo to wahshat mein kabhi samjhe hai mujh ko qatil

    aur kabhi kucha-e-qatil ka pata mange hai

    aql par parda paDa hai ki suKHnawar 'anjum'

    din ke mahaul mein bhi kali rida mange hai

    Source:

    Saat Suron Ki Mithi Halchal (Pg. B-62 E-63)

    • Author: Ghayas Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now