Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat

Ejaz Warsi

KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat

Ejaz Warsi

MORE BYEjaz Warsi

    ḳhūn-e-nāhaq thī faqat duniyā-e-āb-o-gil baat

    ye hai mahshar kyuuñ yahāñ ho dāman-e-qātil baat

    aaj kyuuñ ashkoñ meñ hai aks-e-tabassum jalva-gar

    aa ga.ī kyā apnī had par ġham ke mustaqbil baat

    har nazar rañgīnī-e-ruḳh tak pahuñch kar rah ga.ī

    phuul ab kis se kaheñ gulshan meñ zaḳhm-e-dil baat

    dekhte rah ga.e qānūn-e-qudrat ahl-e-zabt

    le uḌī ḳhākistar-e-parvāna jab mahfil baat

    nāḳhudā ham aur tūfāñ se kareñ fikr-e-farār

    ham kabhī karte nahīñ sāhil pe bhī sāhil baat

    ho na jaa.e phir shu.ūr-e-kārvāñ nazr-e-fareb

    chheḌ hai rāhbar ne aaj phir manzil baat

    koī apnā hai na koī hamdam-o-dard-āshnā

    ai ḳhudā kis se kahe 'ejāz' apne dil baat

    KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat

    ye hai mahshar kyun yahan ho daman-e-qatil ki baat

    aaj kyun ashkon mein hai aks-e-tabassum jalwa-gar

    aa gai kya apni had par gham ke mustaqbil ki baat

    har nazar rangini-e-ruKH tak pahunch kar rah gai

    phul ab kis se kahen gulshan mein zaKHm-e-dil ki baat

    dekhte hi rah gae qanun-e-qudrat ahl-e-zabt

    le uDi KHakistar-e-parwana jab mahfil ki baat

    naKHuda hum aur tufan se karen fikr-e-farar

    hum kabhi karte nahin sahil pe bhi sahil ki baat

    ho na jae phir shuur-e-karwan nazr-e-fareb

    chheD di hai rahbar ne aaj phir manzil ki baat

    koi apna hai na koi hamdam-o-dard-ashna

    ai KHuda kis se kahe 'ejaz' apne dil ki baat

    Source:

    Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam) (Pg. 48)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Bazm-e-Adab, Rajasthan
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now