Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun ke pyase hain wahan abru-e-KHamdar juda

Shah Akbar Danapuri

KHun ke pyase hain wahan abru-e-KHamdar juda

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ḳhuuñ ke pyāse haiñ vahāñ abrū-e-ḳhamdār judā

    tez kartī hai chhurī yaañ mizha-e-yār judā

    ai sanam bahr-e-ḳhudā na ho zinhār judā

    maut hai jo masīhā se ho bīmār judā

    ruḳh-e-raushan se hoñ kyā abrū-e-ḳhamdār judā

    sub.h-e-mahshar se na hogī ye shab-e-tār judā

    kahe to abhī sar kaaT ke rakh dete haiñ

    ham kisī haal meñ tujh se nahīñ ai yaar judā

    bāġh-e-ālam meñ kise ishq un āñkhoñ nahīñ

    maiñ huuñ bīmār judā nargis-e-bīmār judā

    is se kuchh ḳhauf nahīñ is se hai andesha-e-marg

    ranjish-e-ḳhalq judā ranjish-e-dildār judā

    ḳhaak bhī is se na ho is se ho mahshar barpā

    kabk chaal judā yaar raftār judā

    abhī ho jaa.e zamīñ ham-sar-e-charḳh-e-anjum

    kafsh se tere sitāre hoñ jo do-chār judā

    ek din vasl ho jā.egā āshiq tire

    mujh se hotā hai jo ai yaar har baar judā

    ek gul bāġh-e-jahāñ meñ nahīñ tujh ba-ḳhudā

    sab hasīnoñ se ravish hai tirī ai yaar judā

    kaun shakl hai ab ziist merī 'akbar'

    sadma-e-hijr judā ta.ana-e-aġhyār judā

    KHun ke pyase hain wahan abru-e-KHamdar juda

    tez karti hai chhuri yan mizha-e-yar juda

    ai sanam bahr-e-KHuda tu na ho zinhaar juda

    maut hi hai jo masiha se ho bimar juda

    ruKH-e-raushan se hon kya abru-e-KHamdar juda

    subh-e-mahshar se na hogi ye shab-e-tar juda

    tu kahe to abhi sar kaT ke rakh dete hain

    hum kisi haal mein tujh se nahin ai yar juda

    bagh-e-alam mein kise ishq un aankhon ka nahin

    main hun bimar juda nargis-e-bimar juda

    is se kuchh KHauf nahin is se hai andesha-e-marg

    ranjish-e-KHalq juda ranjish-e-dildar juda

    KHak bhi is se na ho is se ho mahshar barpa

    kabk ki chaal juda yar ki raftar juda

    abhi ho jae zamin ham-sar-e-charKH-e-anjum

    kafsh se tere sitare hon jo do-chaar juda

    ek din wasl hi ho jaega aashiq ka tere

    mujh se hota hai jo ai yar tu har bar juda

    ek gul bagh-e-jahan mein nahin tujh sa ba-KHuda

    sab hasinon se rawish hai teri ai yar juda

    kaun si shakl hai ab zist ki meri 'akbar'

    sadma-e-hijr juda tana-e-aghyar juda

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 100)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now