KHun pani ek kar apni pareshani na dekh
ḳhuun paanī ek kar apnī pareshānī na dekh
ye mazāq-e-shā.irī hai is meñ āsānī na dekh
multajī āñkhoñ meñ ishrat-yāfta paanī na dekh
karb meñ Duube hue chehroñ meñ tābānī na dekh
tujh meñ hairāñ-kun hazāroñ zāviye ḳhud haiñ nihāñ
apnī sūrat dekh ā.īne kī hairānī na dekh
kar ke himmat Daal de apne nasheman kī binā
gulsitāñ meñ bijliyoñ kī fitna-sāmānī na dekh
DabDabā jā.eñgī āñkheñ ḳhuun ro uTThegā dil
ishq kī rāhoñ meñ ahl-e-haq kī qurbānī na dekh
baḳhshne vaalā to baḳhshegā zarūrat se sivā
māñgne vaale tū apnī tang-dāmānī na dekh
nasl-e-ādam ke liye 'anvar' luTā de zindagī
apnī aafat apnā ġham apnī pareshānī na dekh
KHun pani ek kar apni pareshani na dekh
ye mazaq-e-shairi hai is mein aasani na dekh
multaji aankhon mein ishrat-yafta pani na dekh
karb mein Dube hue chehron mein tabani na dekh
tujh mein hairan-kun hazaron zawiye KHud hain nihan
apni surat dekh aaine ki hairani na dekh
kar ke himmat Dal de apne nasheman ki bina
gulsitan mein bijliyon ki fitna-samani na dekh
DabDaba jaengi aankhen KHun ro uTThega dil
ishq ki rahon mein ahl-e-haq ki qurbani na dekh
baKHshne wala to baKHshega zarurat se siwa
mangne wale tu apni tang-damani na dekh
nasl-e-adam ke liye 'anwar' luTa de zindagi
apni aafat apna gham apni pareshani na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.