Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun rulati rahi ek umr-e-shab-e-tar mujhe

Syed Safi Hasan

KHun rulati rahi ek umr-e-shab-e-tar mujhe

Syed Safi Hasan

MORE BYSyed Safi Hasan

    ḳhuuñ rulātī rahī ik umr-e-shab-e-tār mujhe

    tab kahīñ ke mile sub.h ke āsār mujhe

    maiñ na yūsuf huuñ na ye shahr-e-zuleḳhā yaaro

    kyoñ chale aa.e ho le kar sar-e-bāzār mujhe

    ghar meñ laa.ī to hai betābī-e-dil dekh zarā

    kahīñ pahchān na leñ ye dar-o-dīvār mujhe

    maiñ to huuñ sarhad-e-imkāñ se guzarne vaalā

    sakegī na kabhī vaqt raftār mujhe

    tahī dāman huuñ magar ahl-e-havas ke aage

    roktā hai lab-e-iz.hār se pindār mujhe

    mere dushman to kabhī vaar na karte lekin

    mere apnoñ ne safī' kar diyā lāchār mujhe

    KHun rulati rahi ek umr-e-shab-e-tar mujhe

    tab kahin ja ke mile subh ke aasar mujhe

    main na yusuf hun na ye shahr-e-zuleKHa yaro

    kyon chale aae ho le kar sar-e-bazar mujhe

    ghar mein lai to hai betabi-e-dil dekh zara

    kahin pahchan na len ye dar-o-diwar mujhe

    main to hun sarhad-e-imkan se guzarne wala

    pa sakegi na kabhi waqt ki raftar mujhe

    tahi daman hun magar ahl-e-hawas ke aage

    rokta hai lab-e-izhaar se pindar mujhe

    mere dushman to kabhi war na karte lekin

    mere apnon ne safi' kar diya lachaar mujhe

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 372)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now