Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun wirasat ka ragon mein faKHr ke qabil hua

Aslam Haneef

KHun wirasat ka ragon mein faKHr ke qabil hua

Aslam Haneef

MORE BYAslam Haneef

    ḳhuuñ virāsat ragoñ meñ faḳhr ke qābil huā

    jab mire ḳhāk-dāñ se merā sar hāsil huā

    har jazīra barf merī anā mumlikat

    raah meñ phir koh-e-nā-mālūm kyuuñ haa.il huā

    ret ke dariyā se qaa.em thī ummīd mo.ajiza

    tishnagī meñ jo qadam aage baḌhā hāsil huā

    saaya paanī meñ chalā jab mujh ko tanhā chhoḌ kar

    merā manzar mire ehsās qātil huā

    phir havā muTThiyoñ se ret barsī sahn meñ

    phir bikharne nazar ko zā.iqa hāsil huā

    tum anā ke zo.am meñ inkār-e-fan karte to ho

    aur agar is ahd maiñ had-e-fāsil huā

    KHun wirasat ka ragon mein faKHr ke qabil hua

    jab mere hi KHak-dan se mera sar hasil hua

    har jazira barf ka meri ana ki mumlikat

    rah mein phir koh-e-na-malum kyun hail hua

    ret ke dariya se qaem thi ummid moajiza

    tishnagi mein jo qadam aage baDha hasil hua

    saya pani mein chala jab mujh ko tanha chhoD kar

    mera manzar hi mere ehsas ka qatil hua

    phir hawa ki muTThiyon se ret barsi sahn mein

    phir bikharne ka nazar ko zaiqa hasil hua

    tum ana ke zoam mein inkar-e-fan karte to ho

    aur agar is ahd ka main hi had-e-fasil hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now