KHwab achchhe nahin is umr mein ghar ke logo
ḳhvāb achchhe nahīñ is 'umr meñ ghar ke logo
yahī din raat to hote haiñ safar ke logo
jāmunī rang kā sho'la koī lahrātā hai
ham to is aag ko dekheñge Thahar ke logo
yahī miTTī jo kināre pe nazar aatī hai
aur ho jaatī hai paanī meñ utar ke logo
apne hī shahr kā ahvāl sunā karte haiñ
jaise qisse hoñ kisī aur nagar ke logo
aaj 'sarvat' se mulāqāt huī thī apnī
yahāñ charche haiñ usī ā.ina-gar ke logo
KHwab achchhe nahin is 'umr mein ghar ke logo
yahi din raat to hote hain safar ke logo
jamuni rang ka sho'la koi lahraata hai
hum to is aag ko dekhenge Thahar ke logo
yahi miTTi jo kinare pe nazar aati hai
aur ho jati hai pani mein utar ke logo
apne hi shahr ka ahwal suna karte hain
jaise qisse hon kisi aur nagar ke logo
aaj 'sarwat' se mulaqat hui thi apni
yahan charche hain usi aaina-gar ke logo
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 59)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.