Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab aisa ho ki chashm-e-KHwab ash-ash kar uThe

Yawar Azeem

KHwab aisa ho ki chashm-e-KHwab ash-ash kar uThe

Yawar Azeem

MORE BYYawar Azeem

    ḳhvāb aisā ho ki chashm-e-ḳhvāb ash-ash kar uThe

    chāñd nikle niiñd nīlāb ash-ash kar uThe

    shart jo tujh ko lagānī hai lagā le dostā

    us ke jalve par agar mahtāb ash-ash kar uThe

    piilī kurtī ho tirī āñchal ho dhānī rang

    ruup terā dekh kar panjāb ash-ash kar uThe

    dil betābi jab mazkūr ho ai ham-nashīñ

    ḳhud zabān-e-hāl se sīmāb ash-ash kar uThe

    jhuum uThe dil husn-e-fitrat numā.ish dekh kar

    aadmī chashm-e-hairat-yāb ash-ash kar uThe

    phuul nikleñ shāḳhchoñ se chhatriyāñ taane hue

    bārishoñ meñ qit'a-e-ḳhush-āb ash-ash kar uThe

    zahr meñ Duubī huī vo daad thī 'yāvar-azīm'

    rashk ke maare hue ahbāb ash-ash kar uThe

    KHwab aisa ho ki chashm-e-KHwab ash-ash kar uThe

    chand nikle nind ka nilab ash-ash kar uThe

    shart jo tujh ko lagani hai laga le dosta

    us ke jalwe par agar mahtab ash-ash kar uThe

    pili kurti ho teri aanchal ho dhani rang ka

    rup tera dekh kar panjab ash-ash kar uThe

    dil ki betabi ka jab mazkur ho ai ham-nashin

    KHud zaban-e-haal se simab ash-ash kar uThe

    jhum uThe dil husn-e-fitrat ki numaish dekh kar

    aadmi ki chashm-e-hairat-yab ash-ash kar uThe

    phul niklen shaKHchon se chhatriyan tane hue

    barishon mein qit'a-e-KHush-ab ash-ash kar uThe

    zahr mein Dubi hui wo dad thi 'yawar-azim'

    rashk ke mare hue ahbab ash-ash kar uThe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now