Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab aise ki gai raat Darane lag jaen

Qayyum Tahir

KHwab aise ki gai raat Darane lag jaen

Qayyum Tahir

MORE BYQayyum Tahir

    ḳhvāb aise ki ga.ī raat Darāne lag jaa.eñ

    dard jaage to sulāne meñ zamāne lag jaa.eñ

    ham vo nādān havāoñ se vafā ḳhātir

    apne āñgan ke charāġhoñ ko bujhāne lag jaa.eñ

    thoḌe gehūñ abhī miTTī pe rakhe rahne do

    vo parinde ki kabhī lauT ke aane lag jaa.eñ

    aas mahke jo kisī kho.e jazīre kabhī

    terī bāñheñ mujhe sāhil pe bulāne lag jaa.eñ

    koī dushman na ho in ko to ye īzā-parvar

    apne ḳhemoñ pe tīroñ ko chalāne lag jaa.eñ

    KHwab aise ki gai raat Darane lag jaen

    dard jage to sulane mein zamane lag jaen

    hum wo nadan hawaon se wafa ki KHatir

    apne aangan ke charaghon ko bujhane lag jaen

    thoDe gehun abhi miTTi pe rakhe rahne do

    wo parinde ki kabhi lauT ke aane lag jaen

    aas mahke jo kisi khoe jazire ki kabhi

    teri banhen mujhe sahil pe bulane lag jaen

    koi dushman na ho in ko to ye iza-parwar

    apne KHemon pe hi tiron ko chalane lag jaen

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 642)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now