KHwab bhi wasl waqia bhi hai
ḳhvāb bhī vasl vāqi'a bhī hai
jo nahīñ bhī huā huā bhī hai
'ishq meñ ḳhud-kushī kahāñ jaa.ez
go maraz kī yahī davā bhī hai
uf na kī ham ne jaan jaane tak
sabr kī koī intihā bhī hai
nāseh-e-mohtaram ke paas bhalā
koī mā'qūl mashvara bhī hai
hai 'ajab husn-e-ittifāq ki vo
ḳhūb-rū bhī hai bā-vafā bhī hai
zimmedārī bhī hai 'ibādat-e-'ishq
aur dilchasp mashġhala bhī hai
jānte sab haiñ ai 'sha'ūr' magar
aap ko koī pūchhtā bhī hai
KHwab bhi wasl waqi'a bhi hai
jo nahin bhi hua hua bhi hai
'ishq mein KHud-kushi kahan jaez
go maraz ki yahi dawa bhi hai
uf na ki hum ne jaan jaane tak
sabr ki koi intiha bhi hai
naseh-e-mohtaram ke pas bhala
koi ma'qul mashwara bhi hai
hai 'ajab husn-e-ittifaq ki wo
KHub-ru bhi hai ba-wafa bhi hai
zimmedari bhi hai 'ibaadat-e-'ishq
aur dilchasp mashghala bhi hai
jaante sab hain ai 'sha'ur' magar
aap ko koi puchhta bhi hai
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 108)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.