KHwab-dar-KHwab bigaDti hui surat uski
ḳhvāb-dar-ḳhvāb bigaḌtī huī sūrat us kī
kyā in āñkhoñ meñ thī bas itnī hī chāhat us kī
is liye bhī nahīñ miltā maiñ barābar us se
chhūTne kī nahīñ gar mujh ko lagī lat us kī
raushnī ke na.e asbāb farāham kartī
dil meñ vo aag lagātī huī qurbat us kī
kyā badan hai ki mujhe toḌ ke rakh detā hai
khīñch letī hai mujhe duur se hiddat us kī
us ne bhī maañ kī tarah kab thā zamīñ ko chāhā
jo samar-dār na sābit huī hijrat us kī
KHwab-dar-KHwab bigaDti hui surat us ki
kya in aankhon mein thi bas itni hi chahat us ki
is liye bhi nahin milta main barabar us se
chhuTne ki nahin gar mujh ko lagi lat us ki
raushni ke nae asbab faraham karti
dil mein wo aag lagati hui qurbat us ki
kya badan hai ki mujhe toD ke rakh deta hai
khinch leti hai mujhe dur se hiddat us ki
us ne bhi man ki tarah kab tha zamin ko chaha
jo samar-dar na sabit hui hijrat us ki
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 52)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.