Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab-gar KHwab banata hi chala jata hai

Mohammad Shahid Firoz

KHwab-gar KHwab banata hi chala jata hai

Mohammad Shahid Firoz

MORE BYMohammad Shahid Firoz

    ḳhvāb-gar ḳhvāb banātā chalā jaatā hai

    jis ko jo aa.e samajh us ko uThā laatā hai

    raat bujhtī hai to jaag uThte haiñ vahshī manzar

    din ujaḌtā hai to dil ḳhauf pe uksātā hai

    ne jalte hue manzar ko havā kyuuñ thī

    raakh ab uḌne lagī hai kidhar jaatā hai

    ye tire soche hue rañg muhtāj nahīñ

    husn to husn hai har rañg meñ itrātā hai

    dekhne vaale mohabbat nazar se dekheñ

    maiñ vo manzar huuñ jise husn-e-nazar bhātā hai

    ai moallim tarah ishq paḌhāne vaale

    ishq lecture se nahīñ kar ke samajh aatā hai

    ek mushtāq-nigāhī talab meñ 'shāhid'

    jis ko dekho vahī tasvīr huā jaatā hai

    KHwab-gar KHwab banata hi chala jata hai

    jis ko jo aae samajh us ko uTha lata hai

    raat bujhti hai to jag uThte hain wahshi manzar

    din ujaDta hai to dil KHauf pe uksata hai

    tu ne jalte hue manzar ko hawa kyun di thi

    rakh ab uDne lagi hai tu kidhar jata hai

    ye tere soche hue rang ka muhtaj nahin

    husn to husn hai har rang mein itraata hai

    dekhne wale mohabbat ki nazar se dekhen

    main wo manzar hun jise husn-e-nazar bhata hai

    ai moallim ki tarah ishq paDhane wale

    ishq lecture se nahin kar ke samajh aata hai

    ek mushtaq-nigahi ki talab mein 'shahid'

    jis ko dekho wahi taswir hua jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now