KHwab ki wadiyon se nikalta hua
ḳhvāb kī vādiyoñ se nikaltā huā
chāñd so kar uThā aañkh maltā huā
haath par dhuup kī pattiyāñ rakh gayā
koī phūloñ kī chādar badaltā huā
shīsh-mahloñ ke shīshoñ se Takrā gayā
pattharoñ se vo utrā sañbhaltā huā
shaam tak hogā sūraj hamārī tarah
koī sūkhā huā peḌ jaltā huā
ek aahaT sī nazdīk aatī huī
lawn meñ shaam kā phuul khiltā huā
maiñ bhī aa hī gayā tere bāzār tak
roz chehre pe chehra badaltā huā
KHwab ki wadiyon se nikalta hua
chand so kar uTha aankh malta hua
hath par dhup ki pattiyan rakh gaya
koi phulon ki chadar badalta hua
shish-mahlon ke shishon se Takra gaya
pattharon se wo utra sanbhalta hua
sham tak hoga suraj hamari tarah
koi sukha hua peD jalta hua
ek aahaT si nazdik aati hui
lawn mein sham ka phul khilta hua
main bhi aa hi gaya tere bazar tak
roz chehre pe chehra badalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.