Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab kya hai ki TuTta hi nahin

Arshad Jamal Hashmi

KHwab kya hai ki TuTta hi nahin

Arshad Jamal Hashmi

MORE BYArshad Jamal Hashmi

    ḳhvāb kyā hai ki TūTtā nahīñ

    ik nasha hai ki TūTtā nahīñ

    is ne kyā kyā sitam na toḌe haiñ

    dil mirā hai ki TūTtā nahīñ

    TūTtā rahā hai ik ik ḳhvāb

    silsila hai ki TūTtā nahīñ

    rishte naate tamām TuuT ga.e

    sar-phirā hai ki TūTtā nahīñ

    pau phaTī añg añg TūTtā hai

    aur nasha hai ki TūTtā nahīñ

    lahreñ aa aa ke TuuT jaatī haiñ

    ik ghaḌā hai ki TūTtā nahīñ

    dil ke dariyā meñ kaisā sañg girā

    dā.era hai ki TūTtā nahīñ

    naav TuuTī do-nīm hai patvār

    hausla hai ki TūTtā nahīñ

    dhāgā kachchā sahī magar 'arshad'

    yuuñ bañdhā hai ki TūTtā nahīñ

    KHwab kya hai ki TuTta hi nahin

    ek nasha hai ki TuTta hi nahin

    is ne kya kya sitam na toDe hain

    dil mera hai ki TuTta hi nahin

    TuTta ja raha hai ek ek KHwab

    silsila hai ki TuTta hi nahin

    rishte nate tamam TuT gae

    sar-phira hai ki TuTta hi nahin

    pau phaTi ang ang TuTta hai

    aur nasha hai ki TuTta hi nahin

    lahren aa aa ke TuT jati hain

    ek ghaDa hai ki TuTta hi nahin

    dil ke dariya mein kaisa sang gira

    daera hai ki TuTta hi nahin

    naw TuTi do-nim hai patwar

    hausla hai ki TuTta hi nahin

    dhaga kachcha sahi magar 'arshad'

    yun bandha hai ki TuTta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now