Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat

Riyaz Khairabadi

KHwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    ḳhvāb meñ bhī nazar aa jaa.e jo ghar sūrat

    phaaḌ khā.eñ tire darbāñ sag-e-dar sūrat

    aisī bigḌe na ilāhī kisī ghar sūrat

    vahī dīvār sūrat hai jo dar sūrat

    par-shikasta huuñ tah-e-shāḳh paḌā rahne de

    bāġhbāñ mujhe TuuTe hue par sūrat

    chhūTtā nahīñ ab arsh-e-ḳhudā bām-e-butāñ

    dekh hai kahīñ nāloñ ne asar sūrat

    ghere rahtā hai bagūlā mujhe ab ek na ek

    hai paidā mire sahrā ne bhī ghar sūrat

    jaan jaa.e ki rahe aap ke aate aate

    aur se aur hai ab dard-e-jigar sūrat

    paanī ho jaate haiñ aañsū mire motī ban kar

    varna achchhī to na thī un se guhar sūrat

    kūcha-e-zulf meñ jaate hue dil Dartā hai

    har qadam par hai na.ī ḳhauf-o-ḳhatar sūrat

    kabhī phūlā na phulā naḳhl-e-tamannā afsos

    phuul shakl na dekhī na samar sūrat

    ġhair qabr hai gulshan hai na dāman un

    mujh se dekhī nahīñ jaatī gul-e-tar sūrat

    chāragar aate haiñ to aañkh churā jaate haiñ

    aisī bigḌī hai mire zaḳhm-e-jigar sūrat

    āshiyāne ko chale baaġh meñ muddat guzrī

    phirtī hai aañkh meñ kyuuñ barq-o-sharar sūrat

    ghar se be-fikr maiñ sahrā meñ phirā kartā huuñ

    merī āñkhoñ meñ phirā kartī hai ghar sūrat

    qais bhaTkā thā ki sahrā meñ 'riyāz' aa.e nazar

    rahnumā us ke bane aap ḳhizar sūrat

    KHwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat

    phaD khaen tere darban sag-e-dar ki surat

    aisi bigDe na ilahi kisi ghar ki surat

    wahi diwar ki surat hai jo dar ki surat

    par-shikasta hun tah-e-shaKH paDa rahne de

    baghban tu mujhe TuTe hue par ki surat

    chhuTta hi nahin ab arsh-e-KHuda baam-e-butan

    dekh li hai kahin nalon ne asar ki surat

    ghere rahta hai bagula mujhe ab ek na ek

    ki hai paida mere sahra ne bhi ghar ki surat

    jaan jae ki rahe aap ke aate aate

    aur se aur hai ab dard-e-jigar ki surat

    pani ho jate hain aansu mere moti ban kar

    warna achchhi to na thi un se guhar ki surat

    kucha-e-zulf mein jate hue dil Darta hai

    har qadam par hai nai KHauf-o-KHatar ki surat

    kabhi phula na phula naKHl-e-tamanna afsos

    phul ki shakl na dekhi na samar ki surat

    ghair ki qabr hai gulshan hai na daman un ka

    mujh se dekhi nahin jati gul-e-tar ki surat

    chaaragar aate hain to aankh chura jate hain

    aisi bigDi hai mere zaKHm-e-jigar ki surat

    aashiyane ko chale bagh mein muddat guzri

    phirti hai aankh mein kyun barq-o-sharar ki surat

    ghar se be-fikr main sahra mein phira karta hun

    meri aankhon mein phira karti hai ghar ki surat

    qais bhaTka tha ki sahra mein 'riyaz' aae nazar

    rahnuma us ke bane aap KHizar ki surat

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now