Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh

Wasim Nadir

KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh

Wasim Nadir

MORE BYWasim Nadir

    ḳhvāb meñ haath chhuḌātī huī taqdīr dukh

    aañkh se lipTā hai ab tak usī ta.abīr dukh

    koshisheñ kar ke bahar-hāl musavvir haarā

    shoḳh rañgoñ meñ chhupā nahīñ tasvīr dukh

    us āñkhoñ meñ namī ḳhatm nahīñ ho saktī

    paḌh liyā jis ne bhī hañstī huī tahrīr dukh

    qaid-ḳhāne meñ yahī soch ke vāpas aayā

    mujh ko mālūm hai tanhā paḌī zanjīr dukh

    mahfil-e-sher-o-suḳhan yūñhī rahe bāġh-o-bahār

    nasl-dar-nasl chale mīr-taqī-'mīr' dukh

    haath kaT jaane pe shāyad nahīñ hotā 'nādir'

    jo mire dil ko hai TuuTī huī shamshīr dukh

    KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh

    aankh se lipTa hai ab tak usi tabir ka dukh

    koshishen kar ke bahar-haal musawwir haara

    shoKH rangon mein chhupa hi nahin taswir ka dukh

    us ki aankhon mein nami KHatm nahin ho sakti

    paDh liya jis ne bhi hansti hui tahrir ka dukh

    qaid-KHane mein yahi soch ke wapas aaya

    mujh ko malum hai tanha paDi zanjir ka dukh

    mahfil-e-sher-o-suKHan yunhi rahe bagh-o-bahaar

    nasl-dar-nasl chale mir-taqi-'mir' ka dukh

    hath kaT jaane pe shayad nahin hota 'nadir'

    jo mere dil ko hai TuTi hui shamshir ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now