KHwab mein ye kaise manzar aa gae
ḳhvāb meñ ye kaise manzar aa ga.e
niiñd meñ ham ghar se bāhar aa ga.e
dil kā darvāza zarā sā kyā khulā
ġham zamāne bhar ke andar aa ga.e
paañv meñ bāñdhe hue mere hī ḳhat
lauT kar mere kabūtar aa ga.e
tīrgī ghar kī miTāne ke liye
taaq meñ ham ḳhud ko rakh kar aa ga.e
ye akele ghar meñ kyā karte bhalā
ġham ko le ke saath daftar aa ga.e
maiñ ne tīroñ par nazar rakkhī thī 'ramz'
vaar karne ab ke ḳhanjar aa ga.e
KHwab mein ye kaise manzar aa gae
nind mein hum ghar se bahar aa gae
dil ka darwaza zara sa kya khula
gham zamane bhar ke andar aa gae
panw mein bandhe hue mere hi KHat
lauT kar mere kabutar aa gae
tirgi ghar ki miTane ke liye
taq mein hum KHud ko rakh kar aa gae
ye akele ghar mein kya karte bhala
gham ko le ke sath daftar aa gae
main ne tiron par nazar rakkhi thi 'ramz'
war karne ab ke KHanjar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.