aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat

    ḳhvāb palkoñ pe mirī aa ke machal jaate haiñ

    kabhī ban ke guhar aañkh se Dhal jaate haiñ

    mujh ko gosha koī mānūs jo lagtā hai

    log dīvār pe tasvīr badal jaate haiñ

    kal vo 'ālam thā ki ik jaan thī do qālib the

    aaj ye hai ki vo katrā ke nikal jaate haiñ

    ham ko tūfān-e-havādis koī ḳhauf nahīñ

    ye jo aate haiñ to kuchh ham bhī bahal jaate haiñ

    apne āñgan meñ vo sūraj ke tamannā.ī haiñ

    jo diyā dekh ke hamsā.e jal jaate haiñ

    maiñ suḳhanvar bhī nahīñ fan salīqa bhī nahīñ

    zaḳhm haiñ dil ke jo naġhmāt meñ Dhal jaate haiñ

    KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain

    ya kabhi ban ke guhar aankh se Dhal jate hain

    mujh ko gosha koi manus sa jo lagta hai

    log diwar pe taswir badal jate hain

    kal wo 'alam tha ki ek jaan thi do qalib the

    aaj ye hai ki wo katra ke nikal jate hain

    hum ko tufan-e-hawadis ka koi KHauf nahin

    ye jo aate hain to kuchh hum bhi bahal jate hain

    apne aangan mein wo suraj ke tamannai hain

    jo diya dekh ke hamsae ka jal jate hain

    main suKHanwar bhi nahin fan ka saliqa bhi nahin

    zaKHm hain dil ke jo naghmat mein Dhal jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now