KHwab phulon ka dikha rakkha hai
ḳhvāb phūloñ kā dikhā rakkhā hai
peḌ kāñToñ kā lagā rakkhā hai
saste lamhoñ kī ḳharīdārī meñ
qīmtī vaqt gañvā rakkhā hai
zehn uljhā hai kisī ḳhvāhish meñ
dil kahīñ aur lagā rakkhā hai
talḳh lahjoñ kā gila hai lab par
zahr nasloñ ko pilā rakkhā hai
vāqa'ī aap agar haiñ sachche
shor kyoñ itnā machā rakkhā hai
aao qad apne barābar kar leñ
iḳhtilāfāt meñ kyā rakkhā hai
KHwab phulon ka dikha rakkha hai
peD kanTon ka laga rakkha hai
saste lamhon ki KHaridari mein
qimti waqt ganwa rakkha hai
zehn uljha hai kisi KHwahish mein
dil kahin aur laga rakkha hai
talKH lahjon ka gila hai lab par
zahr naslon ko pila rakkha hai
waqa'i aap agar hain sachche
shor kyon itna macha rakkha hai
aao qad apne barabar kar len
iKHtilafat mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.