KHwab sajaana jari rakh
ḳhvāb sajānā jaarī rakh
safar suhāna jaarī rakh
sahrāoñ se rabt baḌhā
ḳhaak uḌānā jaarī rakh
terī sitam kī 'umr darāz
ghaav lagānā jaarī rakh
idhar udhar se lafz uThā
she'r banānā jaarī rakh
be-shak mujh se baat na kar
aanā jaanā jaarī rakh
hādse hote rahte haiñ
jashn manānā jaarī rakh
na.ī bahāreñ pal do pal
khel purānā jaarī rakh
KHwab sajaana jari rakh
safar suhana jari rakh
sahraon se rabt baDha
KHak uDana jari rakh
teri sitam ki 'umr daraaz
ghaw lagana jari rakh
idhar udhar se lafz uTha
she'r banana jari rakh
be-shak mujh se baat na kar
aana jaana jari rakh
hadse hote rahte hain
jashn manana jari rakh
nai bahaaren pal do pal
khel purana jari rakh
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 45)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.