Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab waise to ek inayat hai

Shariq Kaifi

KHwab waise to ek inayat hai

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    ḳhvāb vaise to ik ināyat hai

    aañkh khul jaa.e to musībat hai

    jism aayā kisī ke hisse meñ

    dil kisī aur amānat hai

    jaan dene vaqt aa gayā

    is tamāshe ke ba.ad fursat hai

    umr bhar jis ke mashvaroñ pe chale

    vo pareshān hai to hairat hai

    ab sañvarne vaqt us ko nahīñ

    jab hameñ dekhne fursat hai

    us pe utne rañg khulte haiñ

    jis āñkhoñ meñ jitnī hairat hai

    KHwab waise to ek inayat hai

    aankh khul jae to musibat hai

    jism aaya kisi ke hisse mein

    dil kisi aur ki amanat hai

    jaan dene ka waqt aa hi gaya

    is tamashe ke baad fursat hai

    umr bhar jis ke mashwaron pe chale

    wo pareshan hai to hairat hai

    ab sanwarne ka waqt us ko nahin

    jab hamein dekhne ki fursat hai

    us pe utne hi rang khulte hain

    jis ki aankhon mein jitni hairat hai

    Source:

    Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 38)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 2008
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now