Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwabon ki duniya phir se dikhla do amman

Asna Badr

KHwabon ki duniya phir se dikhla do amman

Asna Badr

MORE BYAsna Badr

    ḳhvāboñ duniyā phir se dikhlā do ammāñ

    sone jāgne vaalī guḌiyā do ammāñ

    maiñ duniyā chālākī ko jaan na pā.ūñ

    mujh ko merā bholā-pan lauTā do ammāñ

    har chehre ke pīchhe ik chehra dikhtā hai

    dil āñkhoñ se ye bhed chhupā do ammāñ

    duniyā ko ḳhush karte karte thak jaatī huuñ

    hoñToñ par sachchī muskān sajā do ammāñ

    dhuup uge to koī phuul nahīñ khiltā hai

    āñgan ke in paudoñ ko ye sujhā do ammāñ

    jab tum ne ham sab ko ik lahū pilāyā

    rang birange kyoñ haiñ ham batlā do ammāñ

    niiñd kahāñ ḳhvāboñ se ab kaisā rishta

    ḳhālī lorī de kar bahlā do ammāñ

    āñkhoñ ke ā.īnoñ meñ dhuñdlā-pan kyoñ hai

    bhūle se dil baat batā do ammāñ

    KHwabon ki duniya phir se dikhla do amman

    sone jagne wali guDiya la do amman

    main duniya ki chaalaki ko jaan na paun

    mujh ko mera bhola-pan lauTa do amman

    har chehre ke pichhe ek chehra dikhta hai

    dil ki aankhon se ye bhed chhupa do amman

    duniya ko KHush karte karte thak jati hun

    honTon par sachchi muskan saja do amman

    dhup uge to koi phul nahin khilta hai

    aangan ke in paudon ko ye sujha do amman

    jab tum ne hum sab ko ek hi lahu pilaya

    rang birange kyon hain hum batla do amman

    nind kahan ki KHwabon se ab kaisa rishta

    KHali lori de kar hi bahla do amman

    aankhon ke aainon mein dhundla-pan kyon hai

    bhule se hi dil ki baat bata do amman

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now