Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwabon se rat-jagon ka guzar hai kahan abhi

Mamun Aiman

KHwabon se rat-jagon ka guzar hai kahan abhi

Mamun Aiman

MORE BYMamun Aiman

    ḳhvāboñ se rat-jagoñ guzar hai kahāñ abhī

    rasta kisī talab digar hai kahāñ abhī

    din din hai raat raat hai hastī ke vāste

    partav se aa.ine ko mafar hai kahāñ abhī

    ye sach hai kaT gayā hai añdherā to shaam

    āñkhoñ meñ sahar sāz-e-sahar hai kahāñ abhī

    ḳhud-sāḳhta sarāb meñ hai ishq gāmzan

    husn-e-ḳhirām mahv-e-safar hai kahāñ abhī

    kartā hai baat baat pe us baat kyoñ

    āgāh apne dil se bashar hai kahāñ abhī

    sahrā take hai raah samundar raat din

    zarrāt duā meñ asar hai kahāñ abhī

    ā.īne meñ sajā.e tamannā āgahī

    dil nasīb aisī nazar hai kahāñ abhī

    sarmast ho ke raqs kare mauj-e-dil meñ jaañ

    ghuñghrū rashk koī bhañvar hai kahāñ abhī

    rauzan ko jāntā hai mah-o-mehr madār

    'aiman' ko raushnī ḳhabar hai kahāñ abhī

    KHwabon se rat-jagon ka guzar hai kahan abhi

    rasta kisi talab ka digar hai kahan abhi

    din din hai raat raat hai hasti ke waste

    partaw se aaine ko mafar hai kahan abhi

    ye sach hai kaT gaya hai andhera to sham ka

    aankhon mein sahar saz-e-sahar hai kahan abhi

    KHud-saKHta sarab mein hai ishq gamzan

    husn-e-KHiram mahw-e-safar hai kahan abhi

    karta hai baat baat pe us ki hi baat kyon

    aagah apne dil se bashar hai kahan abhi

    sahra take hai rah samundar ki raat din

    zarraat ki dua mein asar hai kahan abhi

    aaine mein sajae tamanna ki aagahi

    dil ka nasib aisi nazar hai kahan abhi

    sarmast ho ke raqs kare mauj-e-dil mein jaan

    ghunghru ka rashk koi bhanwar hai kahan abhi

    rauzan ko jaanta hai mah-o-mehr ka madar

    'aiman' ko raushni ki KHabar hai kahan abhi

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 137)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now