Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT

Meer Hasan

KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    ḳhvāh sach jaan mirī baat ko ḳhvāh ki jhuuT

    sach kahūñ sach ko agar tere to vallāh ki jhuuT

    sach agar bole ham se to bhalā kyā ho ḳhushī

    meñ aatā hai sun kar tirā har gaah ki jhuuT

    raast gar pūchhe to hai raast ki tujh meñ nahīñ mehr

    apnī haT-dharmī se kahtā hai ai maah ki jhuuT

    jhūT-mūT un se maiñ kuchh maslahatan bolūñgā

    sach hai bol na uThiyo dil-e-āgāh ki jhuuT

    maiñ jo pūchhā ki tujhe ġhairoñ se hai raah to vo

    pher kar muñh ko lagā kahne be-ikarāh ki jhuuT

    koī itnā bhī burā kartā hai merī tarah

    kyuuñ bhalā sach hai na ye ai but-e-dil-ḳhvāh ki jhuuT

    dil to vāqif hai bahut vaañ se Tuk ik sach kahnā

    lāvbālī hai mire yaar dargāh ki jhuuT

    mujh se jab miltā hai tab chheḌ ke pūchhe hai yahī

    ye 'hasan' sach to rakhtā hai mirī chaah ki jhuuT

    kyā javāb us mire paas ba-juz ḳhāmoshī

    magar ye ki yahī har gah kahūñ aah ki jhuuT

    KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT

    sach kahun sach ko agar tere to wallah ki jhuT

    sach agar bole tu hum se to bhala kya ho KHushi

    ji mein ji aata hai sun kar tera har gah ki jhuT

    rast gar puchhe to hai rast ki tujh mein nahin mehr

    apni haT-dharmi se kahta hai tu ai mah ki jhuT

    jhuT-muT un se main kuchh maslahatan bolunga

    sach hai tu bol na uThiyo dil-e-agah ki jhuT

    main jo puchha ki tujhe ghairon se hai rah to wo

    pher kar munh ko laga kahne be-ikarah ki jhuT

    koi itna bhi bura karta hai meri hi tarah

    kyun bhala sach hai na ye ai but-e-dil-KHwah ki jhuT

    dil to waqif hai bahut wan se Tuk ek sach kahna

    lawbaali hai mere yar ki dargah ki jhuT

    mujh se jab milta hai tab chheD ke puchhe hai yahi

    ye 'hasan' sach hi to rakhta hai meri chah ki jhuT

    kya jawab us ka mere pas ba-juz KHamoshi

    ya magar ye ki yahi har gah kahun aah ki jhuT

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 87)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now