Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish-e-be-nam se waqif nahin

Dilkash Sagari

KHwahish-e-be-nam se waqif nahin

Dilkash Sagari

MORE BYDilkash Sagari

    ḳhvāhish-e-be-nām se vāqif nahīñ

    ik nashīlī shaam se vāqif nahīñ

    bah rahā huuñ maiñ to dariyā tarah

    farq-e-ḳhās-o-ām se vāqif nahīñ

    fan tire sheroñ meñ kyā aa.e ki

    hāfiz-o-ḳhayyām se vāqif nahīñ

    haañ vahī 'dilkash' vahī be-ābrū

    kaun us badnām se vāqif nahīñ

    KHwahish-e-be-nam se waqif nahin

    ek nashili sham se waqif nahin

    bah raha hun main to dariya ki tarah

    farq-e-KHas-o-am se waqif nahin

    fan tere sheron mein kya aae ki tu

    hafiz-o-KHayyam se waqif nahin

    han wahi 'dilkash' wahi be-abru

    kaun us badnam se waqif nahin

    Source:

    Kharam-e-Harf (Pg. 112)

    • Author: Dilkash Sagari
      • Publisher: Mohammad Tahir Saudagar
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now