Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish hai aaine pe tujhe aaina karun

Irshad Ahmad Niazi

KHwahish hai aaine pe tujhe aaina karun

Irshad Ahmad Niazi

MORE BYIrshad Ahmad Niazi

    ḳhvāhish hai aa.ine pe tujhe ā.īna karūñ

    par husn-e-be-bahā tirī ujlat kyā karūñ

    be-kār ho chukā huuñ tire hijr ke tufail

    ab tujh ko intizār meñ kyā mubtalā karūñ

    kāġhaz ek naav utārūñ aur is ke baad

    dariyā pe apnā ġhaiz-o-ġhazab rūnumā karūñ

    pahle tujhe milā.ūñ kisī ḳhvāb-zār se

    phir sub.h dalīl pe āñkheñ fanā karūñ

    kuchh der bolne agar ehtimām ho

    maiñ lafz ko lakīr bhī mudda.ā karūñ

    KHwahish hai aaine pe tujhe aaina karun

    par husn-e-be-baha teri ujlat ka kya karun

    be-kar ho chuka hun tere hijr ke tufail

    ab tujh ko intizar mein kya mubtala karun

    kaghaz ki ek naw utarun aur is ke baad

    dariya pe apna ghaiz-o-ghazab runuma karun

    pahle tujhe milaun kisi KHwab-zar se

    phir subh ki dalil pe aankhen fana karun

    kuchh der bolne ka agar ehtimam ho

    main lafz ko lakir ka bhi muddaa karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now