Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish se jab rang utarne lagte hain

Hafeez Jauhar

KHwahish se jab rang utarne lagte hain

Hafeez Jauhar

MORE BYHafeez Jauhar

    ḳhvāhish se jab rañg utarne lagte haiñ

    mausam apne andar marne lagte haiñ

    ik bādal ko dekh ke dasht āñkhoñ meñ

    sairābī ke ḳhvāb sañvarne lagte haiñ

    jab dariyā chaal samajh meñ aatī hai

    log kināroñ par bhī Darne lagte haiñ

    din kaTtā hai sūraj hamrāhī meñ

    shab ko dil ke daaġh bhī jalne lagte haiñ

    us phone nahīñ miltā to aksar ham

    apne aap se bāteñ karne lagte haiñ

    KHwahish se jab rang utarne lagte hain

    mausam apne andar marne lagte hain

    ek baadal ko dekh ke dasht ki aankhon mein

    sairabi ke KHwab sanwarne lagte hain

    jab dariya ki chaal samajh mein aati hai

    log kinaron par bhi Darne lagte hain

    din kaTta hai suraj ki hamrahi mein

    shab ko dil ke dagh bhi jalne lagte hain

    us ka phone nahin milta to aksar hum

    apne aap se baaten karne lagte hain

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 291)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now