KHwahishon ke hisar se niklo
įø³hvÄhishoƱ ke hisÄr se niklo
jaltÄ« saįøkoƱ pe naƱge paaƱv phiro
raat ko phir nigal gayÄ sÅ«raj
shaam tak phir idhar udhar bhaTko
sharm peshÄniyoƱ pe baiThÄ« hai
ghar se niklo to sar jhukÄ.e raho
mÄƱgne se huÄ hai vo įø³hud-sar
kuchh dinoƱ kuchh na maaƱg kar dekho
jis se milte ho kaam hotÄ hai
be-Ĕharaz bhī kabhī kisī se milo
dar-ba-dar įø³haak uįøaa.Ä« hai din bhar
ghar bhÄ« jaanÄ hai haath muƱh dho lo
KHwahishon ke hisar se niklo
jalti saDkon pe nange panw phiro
raat ko phir nigal gaya suraj
sham tak phir idhar udhar bhaTko
sharm peshaniyon pe baiThi hai
ghar se niklo to sar jhukae raho
mangne se hua hai wo KHud-sar
kuchh dinon kuchh na mang kar dekho
jis se milte ho kaam hota hai
be-gharaz bhi kabhi kisi se milo
dar-ba-dar KHak uDai hai din bhar
ghar bhi jaana hai hath munh dho lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.