KHwahishon ki baadshahi kuchh nahin

Tahir Azeem

KHwahishon ki baadshahi kuchh nahin

Tahir Azeem

MORE BYTahir Azeem

  ḳhvāhishoñ bādshāhī kuchh nahīñ

  dil meñ shauq-e-kaj-kulāhī kuchh nahīñ

  kyuuñ adālat ko shavāhid chāhiyeñ

  kyā ye zaḳhmoñ gavāhī kuchh nahīñ

  sub.h likkhī hai agar taqdīr meñ

  raat phir ye siyāhī kuchh nahīñ

  soch apnī zaat tak mahdūd hai

  zehn kyā ye tabāhī kuchh nahīñ

  zarf shāmil hai hamāre ḳhuun meñ

  ye tumhārī kam-nigāhī kuchh nahīñ

  hañs ke miltā hai umūman vo 'azīm'

  is tarah jaise huā kuchh nahīñ

  KHwahishon ki baadshahi kuchh nahin

  dil mein shauq-e-kaj-kulahi kuchh nahin

  kyun adalat ko shawahid chahiyen

  kya ye zaKHmon ki gawahi kuchh nahin

  subh likkhi hai agar taqdir mein

  raat ki phir ye siyahi kuchh nahin

  soch apni zat tak mahdud hai

  zehn ki kya ye tabahi kuchh nahin

  zarf shamil hai hamare KHun mein

  ye tumhaari kam-nigahi kuchh nahin

  hans ke milta hai umuman wo 'azim'

  is tarah jaise hua hi kuchh nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY