Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kibriyai ki ada tujh mein hai

Mushafi Ghulam Hamdani

kibriyai ki ada tujh mein hai

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    kibriyā.ī adā tujh meñ hai

    garche but hai ḳhudā tujh meñ hai

    shoḳhī o nāz-o-adā tujh meñ hai

    ye ik qahr-e-ḳhudā tujh meñ hai

    muñh chhupātā hai ā.īne se

    kis qadar sharm-o-hayā tujh meñ hai

    ḳhair-bāshad ki mire ḳhuun

    surḳhī ai rañg-e-hinā tujh meñ hai

    pūchh letā hai auroñ se mujhe

    baare itnī to vafā tujh meñ hai

    gul hai behāl ye kis gesū

    nik.hat ai bād-e-sabā tujh meñ hai

    dil ko khīñche hai tirī zulf-e-siyāh

    sehr jaadū balā tujh meñ hai

    ho na ai ḳhaak ke putle maġhrūr

    is pe ye jo havā tujh meñ hai

    sab ye naqsha hai tirā āryatī

    ik zarā soch to kyā tujh meñ hai

    jo yuuñ gul ko banā detī hai

    kuchh to ai bād-e-sabā tujh meñ hai

    'mus.hafī' se milā de us ko

    ye asar dast-e-duā tujh meñ hai

    kibriyai ki ada tujh mein hai

    garche tu but hai KHuda tujh mein hai

    shoKHi o naz-o-ada tujh mein hai

    ya ye ek qahr-e-KHuda tujh mein hai

    munh chhupata hai tu aaine se

    kis qadar sharm-o-haya tujh mein hai

    KHair-bashad ki mere KHun ki si

    surKHi ai rang-e-hina tujh mein hai

    puchh leta hai tu auron se mujhe

    bare itni to wafa tujh mein hai

    gul hai behaal ye kis gesu ki

    nikhat ai baad-e-saba tujh mein hai

    dil ko khinche hai teri zulf-e-siyah

    sehr jadu ki bala tujh mein hai

    ho na ai KHak ke putle maghrur

    is pe tu ye jo hawa tujh mein hai

    sab ye naqsha hai tera aaryati

    ek zara soch to kya tujh mein hai

    tu jo yun gul ko bana deti hai

    kuchh to ai baad-e-saba tujh mein hai

    'mushafi' se tu mila de us ko

    ye asar dast-e-dua tujh mein hai

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 262)

    • Author: Ghulam hamdani Mashafi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi council baraye -farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now