Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ki tu ne lab-kushai to kis ke huzur ki

Nadeem Fazli

ki tu ne lab-kushai to kis ke huzur ki

Nadeem Fazli

MORE BYNadeem Fazli

    ne lab-kushā.ī to kis ke huzūr

    ab kirchiyāñ sameT dil-e-nā-subūr

    kis ke lahhū meñ shaam nahā kar hai surḳh-rū

    kis ne chukā.ī ḳhuun se qīmat ġhurūr

    sadiyoñ se kis qabr pe girya-kunāñ hai raat

    leTā hai kaun oḌh ke chādar ye nuur

    ilm-o-kamāl aap mīrās kyā kahā

    parteñ na kholiye mere tahtush-shu.ūr

    taqdīr jitnā chāhe mujhe dar-ba-dar kare

    miTTī se ḳhū na jā.egī burhān-pūr

    phir bā-adab haiñ lafz-o-ma.ānī mire huzūr

    phir fauj utar rahī hai ḳhayāl-e-tuyūr

    tafhīm āñ-janāb ye 'ġhālib' sher hai

    kuchh an-kahī batā.iye bainassutūr

    ham ḳhud se ham-kalām ho.e kam nahīñ 'nadīm'

    jāveñ kalīm sair kareñ koh-e-tūr

    ki tu ne lab-kushai to kis ke huzur ki

    ab kirchiyan sameT dil-e-na-subur ki

    kis ke lahhu mein sham naha kar hai surKH-ru

    kis ne chukai KHun se qimat ghurur ki

    sadiyon se kis ki qabr pe girya-kunan hai raat

    leTa hai kaun oDh ke chadar ye nur ki

    ilm-o-kamal aap ki miras kya kaha

    parten na kholiye mere tahtush-shuur ki

    taqdir jitna chahe mujhe dar-ba-dar kare

    miTTi se KHu na jaegi burhan-pur ki

    phir ba-adab hain lafz-o-maani mere huzur

    phir fauj utar rahi hai KHayal-e-tuyur ki

    tafhim aan-janab ye 'ghaalib' ka sher hai

    kuchh an-kahi bataiye bainassutur ki

    hum KHud se ham-kalam hoe kam nahin 'nadim'

    jawen kalim sair karen koh-e-tur ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now