Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kije mera yaqin kaha na nahin hun main

Ahmad Kamal Hashmi

kije mera yaqin kaha na nahin hun main

Ahmad Kamal Hashmi

MORE BYAhmad Kamal Hashmi

    kiije mirā yaqīn kahā nahīñ huuñ maiñ

    achchhā dikhā.ī detā huuñ achchhā nahīñ huuñ maiñ

    maiñ aa.ine ke jhuuT pe kaise karūñ yaqīn

    jaisā dikhā.ī detā huuñ vaisā nahīñ huuñ maiñ

    dariyā dikhā.ī detā hai dariyā nahīñ hai vo

    qatra dikhā.ī detā huuñ qatra nahīñ huuñ maiñ

    rah rah ke maiñ TaToltā huuñ apne aap ko

    ab kuchh dinoñ se lagtā hai puurā nahīñ huuñ maiñ

    patthar lagā to zaḳhm ehsās bhī huā

    dīvāna lag rahā huuñ divāna nahīñ huuñ maiñ

    ab pattharoñ ne thak ke ye taslīm kar liyā

    shīsha dikhā.ī detā huuñ shīsha nahīñ huuñ maiñ

    ai be-vafā ye tujh se mirā intiqām hai

    merā nahīñ hai to kisī nahīñ huuñ maiñ

    apnā bhī maiñ nahīñ rahā us din se ai 'kamāl'

    jis din se us ne kah diyā terā nahīñ huuñ maiñ

    kije mera yaqin kaha na nahin hun main

    achchha dikhai deta hun achchha nahin hun main

    main aaine ke jhuT pe kaise karun yaqin

    jaisa dikhai deta hun waisa nahin hun main

    dariya dikhai deta hai dariya nahin hai wo

    qatra dikhai deta hun qatra nahin hun main

    rah rah ke main TaTolta hun apne aap ko

    ab kuchh dinon se lagta hai pura nahin hun main

    patthar laga to zaKHm ka ehsas bhi hua

    diwana lag raha hun diwana nahin hun main

    ab pattharon ne thak ke ye taslim kar liya

    shisha dikhai deta hun shisha nahin hun main

    ai be-wafa ye tujh se mera intiqam hai

    mera nahin hai tu to kisi ka nahin hun main

    apna bhi main nahin raha us din se ai 'kamal'

    jis din se us ne kah diya tera nahin hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now