Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kita kahin pukar ai ghafil biya biya

Alimullah

kita kahin pukar ai ghafil biya biya

Alimullah

MORE BYAlimullah

    kiitā kahīñ pukār ai ġhāfil biyā biyā

    phirtā hai kyuuñ bhuul apas piyā piyā

    būjhā hai kyuuñ ajal ko apas se ba.iid kar

    ġhaflat meñ chup umar ko zaa.e kiyā kiyā

    ab to samajh Tuk ek tirā jaan kaun hai

    paapā hai ko jis ne muā nahiñ jiyā jiyā

    lekin nahīñ hai kaam har ik ḳhaam yahāñ

    āshiq vahī huā hai ki jo sar diyā diyā

    pahuñchā hai jo ki ishq meñ manzil ko vasl

    be-shak sakal jahāñ meñ huā be-riyā riyā

    jo kui qadam ko apne rakhā rāh-e-ishq meñ

    kahte haiñ āshiqāñ vo manzil liyā liyā

    donoñ jahāñ se kaam nahīñ mujh ko ai 'alīm'

    bas hai mujhe karīm diyā so hiyā hiyā

    kita kahin pukar ai ghafil biya biya

    phirta hai kyun tu bhul apas ka piya piya

    bujha hai kyun ajal ko apas se baid kar

    ghaflat mein chup umar ko tu zae kiya kiya

    ab to samajh Tuk ek tera jaan kaun hai

    papa hai ji ko jis ne mua nahin jiya jiya

    lekin nahin hai kaam har ek KHam ka yahan

    aashiq wahi hua hai ki jo sar diya diya

    pahuncha hai jo ki ishq mein manzil ko wasl ki

    be-shak sakal jahan mein hua be-riya riya

    jo kui qadam ko apne rakha rah-e-ishq mein

    kahte hain aashiqan ki wo manzil liya liya

    donon jahan se kaam nahin mujh ko ai 'alim'

    bas hai mujhe karim diya so hiya hiya

    Source:

    Deewan-e-Alimullah(Gazaliyat-e-Miskeen Shah) (Pg. 10)

    • Author: Alimullah, Miskeen Shah
      • Publisher: Matba Kareemi Press, Mumbai
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now