kinare par samundar Dubte hain
kināre par samundar Dūbte haiñ
chalo kuchh aur andar Dūbte haiñ
use ham rāsta kahte haiñ apnā
jahāñ lashkar ke lashkar Dūbte haiñ
tire shāne ko dariyā chhū rahā hai
hamāre to yahāñ sar Dūbte haiñ
tirī ġhazloñ ko paḌh kar sochtā huuñ
tirī āñkhoñ meñ manzar Dūbte haiñ
tirī qurbat sabab hai Dūbne kā
kināre par bane ghar Dūbte haiñ
vahāñ manzūr ham ko tairnā hai
jahāñ aksar suḳhanvar Dūbte haiñ
kinare par samundar Dubte hain
chalo kuchh aur andar Dubte hain
use hum rasta kahte hain apna
jahan lashkar ke lashkar Dubte hain
tere shane ko dariya chhu raha hai
hamare to yahan sar Dubte hain
teri ghazlon ko paDh kar sochta hun
teri aankhon mein manzar Dubte hain
teri qurbat sabab hai Dubne ka
kinare par bane ghar Dubte hain
wahan manzur hum ko tairna hai
jahan aksar suKHanwar Dubte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.