Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

Azhar Naqvi

kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

Azhar Naqvi

MORE BYAzhar Naqvi

    kināroñ se judā hotā nahīñ tuġhyāniyoñ dukh

    na.ī maujoñ meñ rahtā hai purāne pāniyoñ dukh

    kahīñ muddat huī us ko gañvāyā thā magar ab tak

    mirī āñkhoñ meñ hai un be-sar-o-sāmāniyoñ dukh

    to kyā bhī mirī ujḌī huī bastī se guzrā hai

    to kyā ne bhī dekhā hai mirī vīrāniyoñ dukh

    shikast-e-ġham ke lamhoñ meñ jo ġham-ālūd ho jaa.eñ

    zamīñ hāthoñ pe le letī hai un peshāniyoñ dukh

    miyān-e-aks-o-ā.īna abhī kuchh gard baaqī hai

    abhī pahchān meñ aayā nahīñ hairāniyoñ dukh

    maiñ pahle DhūñDhtā huuñ ik zarā āsāniyāñ aur phir

    baḌī mushkil meñ rakhtā hai mujhe āsāniyoñ dukh

    kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

    nai maujon mein rahta hai purane paniyon ka dukh

    kahin muddat hui us ko ganwaya tha magar ab tak

    meri aankhon mein hai un be-sar-o-samaniyon ka dukh

    to kya tu bhi meri ujDi hui basti se guzra hai

    to kya tu ne bhi dekha hai meri viraniyon ka dukh

    shikast-e-gham ke lamhon mein jo gham-alud ho jaen

    zamin hathon pe le leti hai un peshaniyon ka dukh

    miyan-e-aks-o-aina abhi kuchh gard baqi hai

    abhi pahchan mein aaya nahin hairaniyon ka dukh

    main pahle DhunDhta hun ek zara aasaniyan aur phir

    baDi mushkil mein rakhta hai mujhe aasaniyon ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now